rasm aison se baḌhana hi na tha
ḳhidmat-e-naseh men jaana hi na tha
baḌh ga.e kuchh aur un ke hausle
rone valon ko hansana hi na tha
dil ka bhi rakhna tha ham ko kuchh ḳhayal
is tarah aansu bahana hi na tha
kal zamana ḳhud miTa deta jinhen
aise naqshon ko miTana hi na tha
be-piye vaa.iz ko meri raa.e men
masjid-e-jama men jaana hi na tha
rah gaya ankhon men naqsha aap ka
naza.a men surat dikhana hi na tha
ḳhud vo de dete to achchha tha ‘aziz’
kya kahen yuun zahr khana hi na tha
Leave a Reply