Rang KHushbu Aur Gul-O-Gulzar Ki Hai Raushni

rang ḳhushbū aur gul-o-gulzār kī hai raushnī

merī nas nas meñ tumhāre pyaar kī hai raushnī

mere hoñToñ par ujāle haiñ lab-e-dildār ke

merī āñkhoñ meñ nigāh-e-yār kī hai raushnī

rāhat-e-jāñ ke ujāle dekhtī huuñ jā-ba-jā

baaġh meñ qurbat ke barg-o-bār kī hai raushnī

terī ḳhushbū is tarah utrī hai rūh-o-jism meñ

merī sāñsoñ meñ tirī mahkār kī hai raushnī

ek dīvār-e-rifāqat jo pas-e-dīvār hai

merī dīvāroñ pe us dīvār kī hai raushnī

ab charāġhoñ ko bujhā de ai havā-e-nīm-shab

taaq meñ mere mire dildār kī hai raushnī

Leave a Comment