ramz-e-hayat alam-e-fani men kho gaya
mera vajud naql-e-makani men kho gaya
kya jaane kya kashish thi tumhare kalam men
jis ne suna vo lafz-o-ma.ani men kho gaya
jo duur tak nahin the vahi ab hain samne
kirdar mera us ki kahani men kho gaya
dariya se bhi kahin koi sailab jab uTha
vo bhi in ansuon ki ravani men kho gaya
jo kuchh kaha nazar ne nazar se sune vo kaun
har shaḳhs guftugu-e-lisani men kho gaya
duniya-e-ilm-o-fan men jo hasil tha kal use
saara kamal charb-zabani men kho gaya
ehsas phir za.ifi men ‘rahbar’ hua unhen
lutf-e-hayat jin ka javani men kho gaya
Leave a Reply