dua men zikr kyuun ho muddaa ka
ki ye sheva nahin ahl-e-raza ka
talab meri bahut kuchh hai magar kya
karam tera hai ik dariya ata ka
kahan tak naaz uthae akhir ai husn
havas tere mizaj-e-khud sata ka
nahin malum kya ai shah-e-khuban
tujhe kuchh haal apne mubtila ka
baja-e-ism-e-azam aap ka naam
vazifa hai mira subh o masa ka
ghazab ka samna hai ashiqon ko
dayar-e-haq men afvaj-e-bala ka
nisar un par hue achchhe rahe ham
taqaza tha yahi khu-e-vafa ka
gunahgaro chalo afv-e-ilahi
bahut mushtaq hai arz-e-khata ka
tiri mahfil men ahl-e-dil ko jalva
nazar aa jaega shan-e-khuda ka
uthaya hai maza dil ne bahut kuchh
mohabbat ke gham-e-rahat-faza ka
jafa ko bhi vafa samjho ki ‘hasrat’
tumhen haq un se kya chun-o-chara ka
Leave a Reply