• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rakho Wo Shewa Na Madd-E-Nazar Nazar Mein Rahe

Rakho Wo Shewa Na Madd-E-Nazar Nazar Mein Rahe

poet

rakho vo sheva na madd-e-nazar nazar men rahe

ki jis se raz-e-mohabbat bashar bashar men rahe

chaman jo ban ke tira rahguzar guzar men rahe

to nakhl-e-tur ka jalva shajar shajar men rahe

aziiz tar hai agar ho sarishk men tasir

latif-tar hai jo ab-e-guhar guhar men rahe

udhar tamam kiya asman ne apna kaam

idhar phanse hue ahl-e-hunar hunar men rahe

vufur-e-gham se ye ji men hai roiye is tarah

na dil men haal na khun-e-jigar jigar men rahe

buri khabar ho to is tarah nama-bar kahna

ki sidq-o-kizb ka shak be-khabar khabar men rahe

samajh ke ishq kar ai dil ki kya nahin maalum

jo sochte nahin naf-o-zarar zarar men rahe

uthao qabr men bhi lazzat-e-khalish ta-hashr

khuda kare ki khadang-e-jigar jigar men rahe

vafa hamari sitam aap ke kuchh aise hon

ki muddaton yahi charcha bashar bashar men rahe

shab-e-firaq mili tira-rozgari men

sahar guzar gai aur ham sahar men rahe

ham un ki bazm men baithe rahe va-lekin yuun

ki jaise rahrav-e-rah-e-khatar khatar men rahe

khiche jo siine se naala to chahiye ai dil

misal-e-maani-e-lafz-e-asar asar men rahe

shab-e-visal ki yarab na raushni kam ho

vo nur-e-ariz-e-rashk-e-qamar qamar men rahe

tamiz gham ko diya tha falak ne aish itna

ki jaise jalva-e-rang-e-sharar sharar men rahe

hamare qatl ko lo nazuki se pahle salah

abhi to khanjar-e-zeb-e-kamar kamar men rahe

ada-e-sharm men lakhon ishare hain ‘salik’

jhuki hui ye kisi ki nazar nazar men rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Riyasat Jab Bhi Dahti Hai Nawase Dukh uThate Hain

poet

Junun Mein Hum Rah-E-KHauf-E-KHatar Se Guzre Hain

Registraron Mein Kahan Gham Shumari Hoti Hai

Wo Baaten Ishq Kahta Tha Ki Sara Ghar Mahakta Tha

Ab to Yun Lab Pe Mere Harf-E-Sadaqat Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet