rahzanon ke haath saara intizam aaya to kya
phir vafa ke mujrmon men mera naam aaya to kya
mere qatil tujh ko akhir kaun samjhae ye baat
par-shikasta ho ke koi zer-e-dam aaya to kya
phir vo bulvaya gaya hai karbala-e-asr men
kufiyon ko phir se shauq-e-ehtimam aaya to kya
kho chuki saari basirat so chuke ahl-e-kitab
asmanon se koi taaza payam aaya to kya
jab ki un ankhon ki mashal baam par raushan nahin
shahr men yasir koi mah-e-tamam aaya to kya
Leave a Reply