rahrav se sarokar na manzil ki ḳhabar hai
divana-e-ulfat hai ki sargarm-e-safar hai
vaan chaah nahin milti hai yaan chain nahin hai
taskin-e-dil-e-zar idhar hai na udhar hai
zarre hain ki garma.e hue nuur ke taare
ik barq-e-tapan hai ki tiri rahguzar hai
ek ek ada hosh-talab dushman-e-iman
vo yusuf-e-sani ba-ḳhuda rashk-e-qamar hai
aa mere jahan men miri duniya ki tamanna
ab meri muradon ka jahan zer-o-zabar hai
gum-gashta-e-manzil huun mohabbat men kuchh aisa
bikhra hua shiraza-e-taskin-e-nazar hai
‘jauhar’ ye gham-e-rah ye dushvari-e-manzil
kahta hai mira dil ki qayamat ka safar hai
Leave a Reply