rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai
ye manzil-e-murad to bas dard dard hai
apne paḌosiyon ko bhi pahchanta nahin
mahsur apne ḳhol men ab fard fard hai
is mausam-e-bahar men ai baghban bata
chehra har ek phuul ka kyuun zard zard hai
laffaziyon ka garm hai bazar kis qadar
dast-e-amal hamara magar sard sard hai
kaisa tazad shaḳh-e-tamanna men hai ‘asad’
ḳhud ye hari hari hai samar zard zard hai
Leave a Reply