• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rahe Wo Zikr Jo Lab-Ha-E-Atishin Se Chale

Rahe Wo Zikr Jo Lab-Ha-E-Atishin Se Chale

rahe vo zikr jo lab-ha-e-atishin se chale

chale vo duur jo raftar-e-satgin se chale

hazaron saal safar kar ke phir vahin pahunche

bahut zamana hua tha hamen zamin se chale

ḳhirad bani rahi zanjir-e-pa-e-shauq magar

junun ke jitne bhi hain silsile hamin se chale

furat jiit ke bhi tishna-lab rahi ghairat

hazar tir-e-sitam zulm ki kamin se chale

zamana ek hi raste pe la ke chhoḌega

ravan hai ek hi dhara koi kahin se chale

guman-o-shak ke do-rahe pe ham se aa ke mile

vo qafile jo kisi manzil-e-yaqin se chale

hamen shikast-e-harifan ka bhi malal raha

shikasta-dil jo ham us bazm-e-dil-nashin se chale

tamam gumrahiyan dair aur haram men palin

tamam silsila-e-kufr ahl-e-din se chale

‘vahid’ sail-e-qayamat ne raah roki thi

jo ban ke ashk ham us chashm-e-naznin se chale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Natija Tajassus Ka Behtar Bhi Hai

Uruj Uske Liye Tha Zawal Mere Liye

poet

Ajib Rut Hai Ye Hijr-O-Visal Se Aage

Tum Intizar Ke Lamhe Shumar Mat Karna

nasir-kazmi

dekh Mohabbat Ka dastur

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet