rah kar makan men mire mehman jaiye
mera bhi ek baar kaha maan jaiye
kahta har ek hai tiri tasvir dekh kar
is shakl is shabih ke qurban jaiye
mujh ko pila ke bazm men kahne lage vo aaj
bas jaiye yahan se miri jaan jaiye
sumbul ne aaj nargis-e-hairan se ye kaha
jab jaiye chaman men pareshan jaiye
main ne kaha ye un se jab aae vo vaqt-e-naza
hai akhiri saval mira maan jaiye
naqsh-e-qadam tira hai har ik ghairat-e-chaman
ai yaar teri chaal ke qurban jaiye
ai yaar dekh zulf-e-moambar na khol tu
aage hi dil hai apna pareshan jaiye
jis se kabhi tha tum ko shab-o-roz ikhtilat
ye hai vahi to ‘mashriqi’ pahchan jaiye
Leave a Reply