rah-e-talab men aaj ye kya mo.ajaza hua
ḳhvab-e-adam men jo bhi gaya jagta hua
maidan men haar jiit ka yuun faisla hua
duniya thi un ke saath hamara ḳhuda hua
barson ki dosti ka chalan kya se kya hua
kis munh se ham milenge agar samna hua
sadiyon ka dard vaqt ki avaz ban gaya
phir se bapa vo ma.arka-e-karbala hua
laaya hai rang ḳhun-e-shahidan ba-faiz-e-shauq
nazron ke samne hai gulistan khila hua
patthar bane hue the zaban de gaya hamen
ehsas ki ragon men lahu bolta hua
rahen simaT simaT ke nigahon men aa ga.iin
jo bhi qadam uTha vahi manzil-numa hua
ankhon men mish.alen hain firozan davam ki
dil men hai teri yaad ka kanTa chubha hua
tu manzil-e-hayat se aage nikal gaya
main aa raha huun tera pata puchhta hua
jaan nazr ki to donon jahan mil ga.e hamen
tai marg o zindagi ka har ik marhala hua
yuun dil men aaj nuur ki barish hui ‘jamil’
jaise koi charagh jala de bujha hua
Leave a Reply