raz-e-nihan thi zindagi raz-e-nihan hai aaj bhi
vahm-o-guman men thi vahm-o-guman hai aaj bhi
kal bhi nava-e-agahi qimat-e-sang-o-ḳhisht thi
naghma-e-amn-o-ashti jins-e-giran hai aaj bhi
dil se to roz-o-shab hui laakh tarah ki guftugu
tishna-e-guftugu magar apni zaban hai aaj bhi
ḳhaak men jazb ho gaya tere shahid ka lahu
matla-e-ka.enat par surḳh dhuan hai aaj bhi
ishq ko niind aa ga.i vaqt pe os paḌ ga.i
apne junun ke dasht men dhuup javan hai aaj bhi
vaqt ki dastaras nahin bazm-e-gah-e-ḳhayal tak
ruḳh pe ghubar hi sahi yaad javan hai aaj bhi
kal bhi ruḳh-e-hayat par rang-e-shaguftagi na tha
sub.h-e-bahar-e-zindagi sham-e-ḳhizan hai aaj bhi
kal bhi zaban-o-nutq ko ḳhauf-e-sinan-e-saif tha
naqd-o-nazar ko dahshat-e-tir-o-kaman hai aaj bhi
‘darshan’-e-tishna-kam par ek nigah saqiya
sho.ala-bayan ye kal bhi tha sho.ala-bayan hai aaj bhi
Leave a Reply