raat jo mauj-e-hava ne gul se dil ki baat kahi
ik ik barg-e-chaman ne kaisi kaisi baat kahi
ankhen rang ba-rang saje raston sarshar huiin
dil ki ḳhalish ne manzar manzar ek hi baat kahi
har iz.har ki tah men ek hi ma.ani pinha the
apni taraf se sab ne apni apni baat kahi
aaj bhi harf o bayan ke sab paimane hairan hain
kaise ghazal ne do satron men puuri baat kahi
sidhe-sade se lafzon men kahna mushkil tha
is liye to aisi aaḌi tirchhi baat kahi
tum kyuun apni marzi ke mafhum nikalo ho
utna hi matlab hai hamara jitni baat kahi
tum bhi to mazmun-tarashi men masruf rahe
tum ne bhi to ‘ali’ kam kam asli baat kahi
Leave a Reply