raat Dhalte hi safiran-e-qamar aate hain
dil ke a.ine men sau aks utar aate hain
sail-e-mahtab se jab naqsh ubhar aate hain
os girti hai to paigham-e-sharar aate hain
sa.at-e-did ka gulzar ho ya saya-e-dar
aise kitne hi maqamat-e-safar aate hain
jagti ankhon ne jin lamhon ko bikhra dekha
vahi lamhe mire ḳhvabon men nikhar aate hain
vaqt ki laash pe rone ko jigar hai kis ka
kis janaze ko liye ahl-e-nazar aate hain
raat ki baat hi kya raat ga.i baat ga.i
raat ke ḳhvab kahin din ko nazar aate hain
vadi-e-gharb se paiham hai andheron ka nuzul
matla-e-sharq se paigham-e-sahar aate hain
Leave a Reply