qusur ishq men zahir hai sab hamara tha
tiri nigah ne dil ko magar pukara tha
vo din bhi kya the ki har baat men ishara tha
dilon ka raaz nigahon se ashkara tha
hava-e-shauq ne rang-e-haya nikhara tha
chaman chaman lab-o-ruḳhsar ka nazara tha
fareb kha ke tiri shoḳhiyon se kya puchhen
hayat o marg men kis ki taraf ishara tha
sujud-e-husn ki tamkin pe baar tha varna
jabin-e-shauq ko ye nang bhi gavara tha
chaman men aag na lagti to aur kya hota
ki phuul phuul ke daman men ik sharara tha
tabahiyon ka to dil ki gila nahin lekin
kisi gharib ka ye aḳhiri sahara tha
bahut latif the nazzare husn-e-barham ke
magar nigah uThane ka kis ko yaara tha
ye kahiye zauq-e-junun kaam aa gaya ‘taban’
nahin to rasm-o-rah-e-agahi ne maara tha
Leave a Reply