qatra huun main vus.at de dariya kar de
tu chahe to sagar ko sahra kar de
talḳhi ka ehsas miTa de duniya se
ya-rab tu har peḌ ka phal miTha kar de
ye ḳhvahish to sadiyon se hai naslon ki
ḳhud zahir ho ya mujh ko ifsha kar de
zard chaTanen kaaT raha huun sahra men
gard ki chadar phaila kar saaya kar de
laaj bacha le meri kaj-dastari ki
baunon ki basti men qad uncha kar de
zanjiron par itna bharosa mat karna
josh-e-junun men vahshi jaane kya kar de
insan ḳhud hai ḳhaliq apni zarurat ka
chalte chalte pagDanDi paida kar de
abr bane to khari paani miTha ho
teri mashiyyat jab chahe jaisa kar de
meri mohabbat zamin hai shadabi ki
teri chahat patton ko piila kar de
rone vaalo ye bhi to ho sakta hai
ḳhuun ka chhinTa qatil ko rusva kar de
itni duuri ‘ramz’ hai kyuun ghar valon men
nafrat ki divar gira rasta kar de
Leave a Reply