kisi tarah bhi to vo raah par nahin aaya
hamare kaam hamara hunar nahin aaya
vo yuun mila tha ki jaise kabhi na bichhdega
vo yuun gaya ki kabhi laut kar nahin aaya
ham aap apna muqaddar sanvar lete magar
hamare haath kaf-e-kuza-gar nahin aaya
khabar to thi ki maal-e-safar hai kya lekin
khayal-e-tark-e-safar umr bhar nahin aaya
main apni aankh ke rauzan se dekh sakta huun
vo phuul bhi jo abhi shakh par nahin aaya
abhi dilon ki tanabon men sakhtiyan hain bahut
abhi hamari dua men asar nahin aaya
Leave a Reply