
Basir Sultan Kazmi
chhoTa sa ek kaam hamara nahin kiya
‘basir’ tumhare yaar ne achchha nahin kiya
rahti rahi hai koi na koi kami zarur
aisa nahin kiya kabhi vaisa nahin kiya
do chaar baar dekh lo ḳhud ja ke us ke paas
kuchh be-sabab to ham ne kinara nahin kiya
kahte rahe ho tum use hamdard-o-gham-gusar
aur us ne baat karna gavara nahin kiya
gar thiin nigah men miri kotahiyan to Thiik
aghyar ne to koi ishara nahin kiya
hairan huun log kahte hain kyon us ko charagar
jis ne kisi mariz ko achchha nahin kiya
din raat ham ko qarz chukane ki fikr hai
go us ne vapsi ka taqaza nahin kiya
hote jo aaj un ki nigahon men sarfaraz
ham ne to koi kaam bhi aisa nahin kiya

Leave a Reply