qasam ḳhuda ki na jaana kahin nahin jaana
bahut bura hai zamana kahin nahin jaana
ruko ruko mire bhaa.i pate ki baat suno
yahin daba hai ḳhazana kahin nahin jaana
agar tumhen kabhi jaana ho tum chale jaana
mujhe to va.ada nibhana kahin nahin jaana
sitara ḳhud hi mira jab tavaf karta hai
to phir mujhe kahan jaana kahin nahin jaana
yuun hi koi nahin banta hai vaqt ka sardar
kaTe to sar bhi kaTana kahin nahin jaana
ye dard-e-ishq tira la-ilaj hai ‘yahya’
use kabhi nahin jaana kahin nahin jaana
Leave a Reply