mera dil chaak hua chak-e-gareban ki tarah
ab gulistan nazar aata hai bayaban ki tarah
mere siine men munavvar hue yadon ke charagh
bazm-e-ḳhuban ki tarah shahr-e-nigaran ki tarah
koi monis koi hamdam koi sathi na mila
main pareshan hi raha zulf-e-pareshan ki tarah
ḳhatm ho ja.egi har raushni duniya ki magar
tum chamakte hi rahoge mah-e-taban ki tarah
main ne chaha ki sambhal jaa.e tabi.at meri
dil Tapakta hi raha dida-e-giryan ki tarah
chashm-e-ulfat se na dekha kabhi duniya ne mujhe
main khaTakta hi raha ḳhar-e-mughilan ki tarah
mere saaqi tire andaz-e-karam ke sadqe
ab to ‘maikash’ bhi nazar aata hai insan ki tarah
Leave a Reply