abr badal hai aur sahab ghata
jis ki ham dekhte hain aaj bahar
kis ko baran ne tazgi bakhshi
zara kheti hai aur darakht ashjar
kaun si ja hai sair ke qabil
baagh rauza hadiqa aur gulzar
ab gharibon ko ho gai taskin
jo ki lete the qarz-o-vam udhar
qaht hai kaal aur gadai bhiik
jis ke menh ne mita diye asar
ju nadi ab-gir hai talab
menh jo barsa to bhar gae yak-bar
nirkh hai bhaav aur ghalla anaaj
sasta arzan hai suuq hai bazar
mardum-o-admi bashar insan
fazl-e-bari ke sab hain shukr-guzar
hain kushavarz kast-kar kisan
khushk-sali se the bahut na-char
menh barasta raha kai din raat
roz-o-shab subh-o-sham lail-o-nahar
qatra hai buund aur menh baran
aab paani hai aur bahut bisyar
bunda-bandi yahi tarashshoh hai
jaise hai aaj nannhi nannhi phuvar
kaali kaali ghata hai abr-e-siyah
jo ki barsa rahi hai ye bauchhar
saaya hai chhanv aftab hai dhuup
dekh aaj dhuup chhanv ki ye bahar
Leave a Reply