jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya
dekho ham ne ḳhud hi se ye kaisa anokha pyaar kiya
aisa anokha aisa tikha jis ko koi sah na sake
ham samjhe patti patti ko ham ne hi sarshar kiya
ruup anokhe mere hain aur ruup ye tu ne dekhe hain
main ne chaha kar bhi dikhaya ya jangal gulzar kiya
dard to hota hi rahta hai dard ke din hi pyare hain
jaise tez chhuri ko ham ne rah rah kar phir dhaar kiya
kaale chehre kaali ḳhushbu sab ko ham ne dekha hai
apni ankhon se un ko sharminda har ik baar kiya
rote dil hanste chehron ko koi bhi na dekh saka
aansu pi lene ka va.ada haan sab ne har baar kiya
kahne jaisi baat nahin hai baat to bilkul saada hai
dil hi par qurban hue aur dil hi ko bimar kiya
shishe TuuTe ya dil TuuTe ḳhushk labon par maut liye
jo koi bhi kar na saka vo ham ne aḳhir-kar kiya
‘naz’ tire zaḳhmi hathon ne jo bhi kiya achchha hi kiya
tu ne sab ki maang saja.i har ik ka singar kiya
Leave a Reply