qarib aa ki ḳhazana huun la.al-o-gauhar ka
hazar ret sahi ret huun samundar ka
khila hai phuul bahut roz men muqaddar ka
bas ab na band ho darvaza tere mandar ka
ye rahe-gahe ka milna bhi koi milna hai
jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka
tamam-shahr hai hangama-e-nashat men gum
magar ye karb ye sannaTa mere andar ka
sada kisi ki ho aata hai apne-ap se ḳhauf
main vo gharib ki ghar ka raha na bahar ka
kabhi na khul ke hansa huun na roya ji-bhar ke
rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka
kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune
uTha.e bojh bhala kaun zindagi-bhar ka
gurez hai use meri gali se yuun jaise
yahan jo aaya to ho ja.ega vo patthar ka
asir-e-dam fareb-e-zaban hua aḳhir
na e’tibar jise aaya dida-e-tar ka
gham-e-zamana hai vo tegh-e-tishna-kam ‘anjum’
uḌe hain paanv agar vaar bach gaya sar ka
Leave a Reply