qafas ko toḌ ke taaza hava men saans liya
vajud chhoḌ ke taaza hava men saans liya
dhuen ke shahar men barish ka shukr vajib tha
so haath joḌ ke taaza hava men saans liya
faza ki dusri janib tha baagh phulon ka
mahar moḌ ke taaza hava men saans liya
the ik ghubbara-numa asman ki qaid men ham
ghubbara phoḌ ke taaza hava men saans liya
safar ki dhuul se ‘akash’ aT chuka tha ḳhala
zamin nichoḌ ke taaza hava men saans liya
Leave a Reply