qadam rakhta hai jab raston pe yaar ahista ahista
to chhaT jaata hai sab gard-o-ghubar ahista ahista
bhari ankhon se ho ke dil men jaana sahal thoḌi hai
chaḌhe dariyaon ko karte hain paar ahista ahista
nazar aata hai to yuun dekhta jaata huun main us ko
ki chal paḌta hai jaise karobar ahista ahista
udhar kuchh aurten darvazon par dauḌi hui aa.iin
idhar ghoḌon se utre shahsavar ahista ahista
kisi din karḳhana-e-ghazal men kaam niklega
palaT a.enge sab be-rozgar ahista ahista
tira paikar ḳhuda ne bhi to fursat men banaya tha
bana.ega tire zevar sunar ahista ahista
miri gosha-nashini ek din bazar dekhegi
zarurat kar rahi hai be-qarar ahista ahista
Leave a Reply