qaabu men dil ho to kahen shaida na kijiye
apne ko apne haath se rusva na kijiye
dil le ke bosa dete nahin aur ye kahte hain
apne para.e men kahin charcha na kijiye
rindan bada-ḳhvar men hai aib-e-sar-kashi
ḳham kis tarah se gardan-e-mina na kijiye
iisa se un ki chashm-e-suḳhan go ye kahti hai
mere mariz-e-ishq ko achchha na kijiye
munh pheriye na lal-e-shakar kha ke bose se
dil apne talḳh-kam ka khaTTa na kijiye
ḳhun-reziyan Tapakti hain pa-e-hina.i se
fitna ḳhiram-e-naz ka barpa na kijiye
aghaz ishq ko diya anjam-e-girya ne
ab kya ‘vaqar’ kijiye aur kya na kijiye
Leave a Reply