qabr men ab kisi ka dhyan nahin
sach hai jab ji nahin jahan nahin
band bulbul hi ki zaban nahin
varna gul to hilate kaan nahin
dil ne khud ulfat-e-kamar ki hai
is men kuchh mera darmiyan nahin
abhi kya kya na hoga harj nasib
ham nahin hain ki imtihan nahin
dair kyuun zahidon ne chhod diya
kya buton men khuda ki shaan nahin
shams kaisa chamak ke nikla hai
aaj mera jo mehrban nahin
baat kya hai ‘sakhi’ jo vo ham se
aise chup hain ki kuchh bayan nahin
Leave a Reply