pyaas se meri Dar gaya paani
ho gaya ḳhushk mar gaya paani
ab mujhe tairna dikhaoge
ab to sar se guzar gaya paani
un se ghairat ka dars kya lete
jin ki ankhon ka mar gaya paani
kis ne daman yahan nichoḌa hai
ret men kaise bhar gaya paani
kuchh na.e zaḳhm ho ga.e hasil
jhiil men phir se bhar gaya paani
dil ke kamre men ab bhi silan hai
jab ki kab ka utar gaya paani
Leave a Reply