• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Aziz Is Qadar Ab Ji Ka Ziyan Rakhte Hain

Hum Aziz Is Qadar Ab Ji Ka Ziyan Rakhte Hain

ham aziiz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain

dost bhi rakhte hain to dushman-e-jan rakhte hain

tab.an insan to dil-dada-e-fasl-e-gul hai

ham ajab log hain jo zauq-e-ḳhizan rakhte hain

ariz-e-gul ho lab-e-yar ho jam-e-mai ho

jism jal uThta hai ham honT jahan rakhte hain

vaqi.a ye bhi hai haq baat nahin kah sakte

ye bhi da.ava hai baja munh men zaban rakhte hain

jis jagah dil tha vahan hasrat-e-dil baaqi hai

jis jagah zaḳhm tha ab ek nishan rakhte hain

ham se kar jaata hai vo shaḳhs fareb aḳhir-kar

jis ke baare men bhi ham nek guman rakhte hain

‘shaukat’ uslub-e-ghazal hai muta.ayyan taham

is men ham munfarid andaz-e-bayan rakhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ji Bhara Aata Hai Khaali Mai Ka Pyala de Gaya

poet

Kis Sitamgar Ka Gunahgar Hun Allah Allah

Is Qadar Bhi Dukhi Nahin the Hum

yun hain KHayal-e-yar pe iqan kiye hue

Jism Ke Gharaunde Mein Aag Shor Karti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet