pyaar ka jashn nai tarah manana hoga
gham kisi dil men sahi gham ko mitana hoga
kanpte honton pe paiman-e-vafa kya kahna
tujh ko laai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna
mere ghar men tire mukhde ki ziya kya kahna
aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga
ruuh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai
jhenpi jhenpi si mire lab pe hansi aati hai
tere milne ki khushi dard bani jaati hai
ham ko hansna hai to auron ko hansana hoga
soi soi hui aankhon men chhalakte hue jaam
khoi khoi hui nazron men mohabbat ka payam
lab shirin pe miri tishna-labi ka inaam
jaane inaam milega ki churana hoga
meri gardan men tiri sandali bahon ka ye haar
abhi aansu the in aankhon men abhi itna khumar
main na kahta tha mire ghar men bhi aaegi bahar
shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga
Leave a Reply