samajh ke farz kabhi din ko raat mat karna
guzarte lamhon se taqsim zaat mat karna
bacha kar tez hava men bikharna paḌta hai
ana ko nazar gham-e-hadsat mat karna
na jaane kaun kahan kya saval kar baiThe
ghubar-e-rahguzar apne saath mat karna
sameTna na sar-e-rah ḳhvab ki kirchen
lahu-luhan kabhi apne haath mat karna
nahin gunah kisi shai ki aarzu lekin
is aarzu ko gham-e-ka.enat mat karna
hain darmiyan men abhi fasle usulon ke
qarib aa ke abhi mujh se baat mat karna
zaval-e-zat to ‘parvaz’ sab ki qismat hai
yaqin-e-dil ko magar be-sabat mat karna
Leave a Reply