jab koi sach baat chhupani paḌti hai
tab jhuTi ik baat banani paḌti hai
andar andar kitne hi ham zaḳhmi hon
chehre par muskan sajani paḌti hai
e’timad bhi had se ziyada Thiik nahin
kabhi kabhi to munh ki ḳhani paḌti hai
armanon ki laash uTha kar kandhon par
kisi kisi ko umr bitani paḌti hai
kabhi kabhi kuchh yaad bhi rakhna paḌta hai
kabhi kabhi har baat bhulani paḌti hai
ham se hi dahshat-gardi hai aur hamen
sab se ziyada jaan ganvani paḌti hai
thapki de kar ham ko to ‘mashkur’ yahan
teri tamanna roz sulani paḌti hai
Leave a Reply