mashriqi UP curfew men
ye dharti kitni sundar hai
ye sundar aur dukhi dharti
ye dhani anchal purab ka
tez raftar rail ke saath
hava men udta jaata hai
pada jhil-mil lahrata hai
duur tak hare khet khaliyan
ye dharti aurat koi kisan
sambhale sar par bhari bojh
chali hai khet se ghar ki or
vahi ghar jis ki chhat par aaj
krodh ka gidh mandrata hai
jhapat kar par phailata hai
os se giila hai sabza
ki giile hain mere do nain
pade maati patthar ke dher
vahi masjid mandir ke pher
tane logon ke tevar dekh
isi dharti par soya puut
jaag kar tumhen manata hai
‘kabira’ kuchh samjhata hai
jahan hon nafrat ke ghamsan
nahin rahte us ja bhagvan
nahin karta hai nazar rahim
nahin karte hain phera raam
tumhari minnat karta hai
khaak par siis jhukata hai
‘Kabira’ kuchh samjhata hai
isi sarju nadiya ke paar
kamal-kunjon par jahan bahar
khade hain hare baans ke jhund
gada hai gautam ka sandesh
khile hain jahan basanti phuul
khuda hai patthar par updesh
ade jab do firqon ki aan
tule hon de dene par jaan
hai asli jiit ki bas ye riit
ki donon jaaen barabar jiit
natija-khez yahi anjam
na samjho varna jang tamam
hui jis yudh men ik ki haar
vo hota rahega baram-bar
na donon jab tak mit jaaen
na donon jaaen barabar haar
yahi takrao ka hai qanun
yahi gautam ka uttam gyaan
ki jis ke aage ek jahan
adab se siis jhukata hai
tumhi to varis the is ke
tumhen kyuun bisra jaata hai
saje rahnuma ke sar dastar
paden pandav ke gale men haar
jale hain jin ke chulhe roz
bhare hain jin ke sada bhandar
are tu murakh kyuun har baar
jaan kar dhoka khata hai
lahu men aap nahata hai
Leave a Reply