pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha. par na aae harf
duben bhi ham to sail-e-ravan par na aae harf
donon hi apni apni jagah la-javab hain
apne yaqin pe un ke guman par na aae harf
ai rashk itna vahm-o-guman bhi baja nahin
ehsas-e-qurbat-e-rag-e-jan par na aae harf
dil na-murad shoala-e-ariz se jal gaya
darte the ham ki soz-e-nihan par na aae harf
hushiyar bazm-e-ghair men naam un ka aa na jaae
ai naghma-sanj josh-e-bayan par na aae harf
tir-e-nigah dil men tarazu hua to ho
ab tere abruon ki kaman par na aae harf
ham un ke ru-ba-ru rahe is maslahat se chup
mahfil men apne ijz-e-bayan par na aae harf
ud jaae tegh se to rahe sarfaraz sar
kat jaae baat par to zaban par na aae harf
is kashmakash men teri gali se pare rahe
aae kahan pe harf kahan par na aae harf
‘tarzi’ tavaf-e-khana-e-khali se khush nahin
bas jaao tum to dil ke makan par na aae harf
Leave a Reply