purane raston pe koi kya rasta bana.e
use banana hai to juda rasta bana.e
main us ki tahvil men diya kho chuki huun ab to
ajab nahin ḳhud hava mira rasta bana.e
mujhe yaqin hai ki paniyon par bhi chal sakungi
baghair kashti ba-zor-e-pa rasta bana.e
main apni hujjat tamam kar ke ruki hui huun
ab us se aage mira ḳhuda rasta bana.e
jise suhulat ne raston men biTha diya ho
vo apni manzil ki samt kya rasta bana.e
Leave a Reply