Pul-siraat tumhara dil tajalliyon ke tuur ki ziya se agahi talak riyazaton ke nuur men gundha hua amanaton ke baar se daba hua tumhari ruuh ke latif aine men apna aks dhundne aqidaton ki gard se ati hui ana ke pul-sirat se guzar ke aa rahi huun main
Leave a Reply