puchhi na khabar kabhi hamari
li khuub khabar aji hamari
ham laeq-e-bandagi nahin to
bas khair hai bandagi hamari
ai dida-e-nam na tham tu hargiz
hai is men hi behtari hamari
yaan teri kamar hi jab na dekhen
phir hech hai zindagi hamari
ham jaan chuke ki jaan ke saath
javegi ye jankani hamari
chalne ka liya jo naam tu ne
bas jaan abhi chali hamari
bigde ho bhale bhi baat kahte
qismat hi buri bani hamari
us zulf ke silsile men hain ham
hai umr bahut badi hamari
kyunkar na kati zaban tumhari
haan aur karo badi hamari
kahte hain palat gaya vo rah se
taqdir ulat gai hamari
ab hanste hain ham pe log varna
mashhur thi yaan hansi hamari
ham hatte hain mulk-e-ishq se kab
heti kisi ne kahi hamari
kya kaam kisi se ham ko ‘ehsan’
ham aur ye be-kasi hamari
Leave a Reply