saans liije to bikhar jaate hain jaise ghunche
ab ke avaz men bajte hain ḳhizan ke patte
chaḌhte suraj pe paḌen saa.e ham avaron ke
vo diya ab ke hatheli pe jala kar chaliye
shaam ko ghar se nikal kar na palaTne vaale
dar-o-divar se saa.e tire ruḳhsat na hue
bevafa kah ke tujhe apna bharam kyuun kholen
ai subuk-gam hamin rah ga.e tujh se pichhe
va ho aghosh-e-mohabbat se jo tanha.i men
aisa lagta hai ki ham par koi suuli utre
baat karte hain to guunj uThti hai avaz-e-shikast
aur qadam rakkhen to galiyon ki zamin baj uTThe
sadiyon men bhi jo guzaren to na guzre yaaro
haa.e vo lamha ki jis men koi pyara bichhḌe
‘hashami’ ghar ke sutunon se lipaT kar rona
be-nava.i ke ye andaz kahan the pahle
Leave a Reply