piya ke ruḳh ki jhalak ka partav kiya hai jhalkar aftabi
nazar suun aalam ke ho rahi hai misal-e-ḳhuffash be-hijabi
jise vo chahta hai mukh dikhane usi ko hai taab dekhne ka
vahi samajh baḳhsh murshid un ka talab hai tuun maang ja shitabi
agar mile tujh ko chashm-e-batin vahi hai maqsud aqibat se
vagarna tahqiq-e-do-jahan men nahin hai hasil ba-juz ḳharabi
usi ko kahte hain kor batin jise nahin haiga diid us ka
na pavega vo najat hargiz agarche vo ilm hai kitabi
karim murshid ne chashm-e-batin kiya navazish ‘alim’ ke ta.iin
vasa haqiqat ke ghan ka ḳhurshid ga.i nikal kar nazar sarabi
Leave a Reply