paḌh ke qasid ḳhat mira us bad-zaban ne kya kaha
kya kaha phir kah but-e-na-mehrban ne kya kaha
ghair se milna tumhara sun ke go ham chup rahe
par suna hoga ki tum ko ik jahan ne kya kaha
galiyon ki jhaaḌ bandhi qasd-e-sargoshi men raat
kya kaha chahe tha main us bad-guman ne kya kaha
sab ḳhiraj-e-misr de kar tha zuleḳha ko ye soch
mol yusuf se pisar ka karvan ne kya kaha
aah ai murgh-e-chaman kuchh tu bhi vaqif hai ki sub.h
gul ne kya puchha tha hans kar baghban ne kya kaha
phir lahu Tapke hai pyare aaj kuchh baton ke biich
sach kaho lab se tumhare rang-e-pan ne kya kaha
‘qa.em’ us kuche se shab ghamgin na aata tha yunhi
kya kahun tujh se ki us ko pasban ne kya kaha
Leave a Reply