duniya se alag ham ne maikhane ka dar dekha
maikhane ka dar dekha allah ka ghar dekha
goshe se nasheman ke aahon ka asar dekha
sayyad ka ghar jalte be-barq-o-sharar dekha
donon ke maze luute donon ka asar dekha
allah ka ghar dekha maikhane ka dar dekha
yuun hashr men sairen kiin firdaus-o-jahannam ki
kuchh der udhar dekha kuchh der udhar dekha
ai shaikh vo kaaba ho ya ho dar-e-mai-khana
tu ne mujhe jab dekha sajde hi men sar dekha
naala hamen karna tha dam ishq ka bharna tha
sau rang se marna tha har rang se mar dekha
jab mauj ubharti hai kahti hai vo shokhi se
baazu men bat-e-mai ke surkhab ka par dekha
tanke diye jaate hain kyuun lab siye jaate hain
hansne ka maza tu ne ai zakhm-e-jigar dekha
nisbat nahin mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se
bujhte hue tujh ko bhi aae sham-e-sahar dekha
sahme hue baithe hain khoe hue baithe hain
jis raat ke arman the us raat ko dar dekha
phal phuul nahin laate ye bagh-e-mohabbat men
har nakhl-e-tamanna ko be-barg-o-samar dekha
kaabe men nazar aae jo subh azaan dete
maikhane men raton ko un ka bhi guzar dekha
kuchh kaam nahin mai se go ishq hai us shai se
main rind ‘riyaz’ aise daman bhi na tar dekha
Leave a Reply