• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fasl-E-Gul Aai Hai Kal Aur Hi Saman Honge

Fasl-E-Gul Aai Hai Kal Aur Hi Saman Honge

poet

fasl-e-gul aai hai kal aur hi saman honge

mere daman men tire dast-o-gareban honge

sab ye kafir hain hasinon ki na sun tu ai dil

chaar din baad yahi dushman-e-iman honge

kis tarah jaenge manea hai hamen khauf-e-mizaj

zulf pur-kham hai to kuchh vo bhi pareshan honge

girya anjam-e-tabassum hai na hans ai ghafil

khuun roenge vahi zakhm jo khandan honge

yaad aaega pas-e-marg hamara ye kamal

haal khul jaega jab khaak men pinhan honge

khana-zadon ko kahan qaid-e-mohabbat se faragh

ham vo bulbul hain yahin khak-e-gulistan honge

daur-e-har-nakhl karenge sifat-e-gard ‘nasim’

ham pas-e-marg bhi qurban-e-gulistan honge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sab Ke Ghamon Mein thoDi thoDi Maine Hisse-Dari Ki

poet

Buton Ke Sath Tabiat Ko Aashna Kar Ke

Fursat Nahin Hai Mujhko Mohabbat Ke Khel Se

ahmad-hamdani

dilon Ko Ranj Ye Kaisa Hai Ye Khushi Kya Hai

momin-khan-momin

Sabr Wahshat-Asar Na Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet