pila saqiya arghavani sharab
ki piiri men de naujavani sharab
vo shoala hai saaqi ki ranjak ki tarah
uda deti hai na-tavani sharab
kahan bada-e-aish taqdir men
piyun main to ho jaae paani sharab
na laaya hai shisha na jam-o-subu
pilata hai saaqi zabani sharab
kahan aql-e-barna kahan aql-e-pir
nae se hai behtar purani sharab
mire chehra-e-zard ke aks se
hui saqiya zaafrani sharab
hue mast dekha jo phulon ka rang
piyalon men thi arghavani sharab
kahan chashma-e-khizr kaise khizar
khizar hai miri zindagani sharab
khizar huun agar main to ja kar piyun
sar-e-chashma-e-zindagani sharab
gulistan hai phulon se kya laal laal
chale saqiya arghavani sharab
ajab saqiya gandumi rang hai
ki partav se banti hai dhani sharab
rahe taaq par parsai ‘amir’
pilae jo vo yar-e-jani sharab
Leave a Reply