phuul sheron ki ravani men chale talvar bhi
bansuri ki taan men hai nimche ki dhaar bhi
dil ki dharti par kapilvastu men ḳhaibar chahiye
aadmi gautam bhi ho aur haidar-e-karrar bhi
dard par hai us ke chaḌhne aur utarne ka madar
dil vo dariya hai ki hai payab bhi manjdhar bhi
Taank de ah-o-buka men shabnami chingariyan
aankh savan ki jhaḌi ho abr-e-atish-bar bhi
maut aa.e to use pahna shahadat ka suhag
maut naḳhl-e-dar bhi hai maut ik muTiyar bhi
Leave a Reply