apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main
aab o gil ke khel ko apna jahan samjha tha main
be-hijabi se tiri tuuta nigahon ka tilism
ik rida-e-nil-gun ko asman samjha tha main
karvan thak kar faza ke pech-o-kham men rah gaya
mehr o maah o mushtari ko ham-inan samjha tha main
ishq ki ik jast ne tai kar diya qissa tamam
is zamin o asman ko be-karan samjha tha main
kah gaiin raz-e-mohabbat parda-dari-ha-e-shauq
thi fughan vo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main
thi kisi darmanda rah-rau ki sada-e-dardnak
jis ko avaz-e-rahil-e-karvan samjha tha main
Leave a Reply