• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phul Kuchle Ja Rahe the Baghban chiKHa Kiya

Phul Kuchle Ja Rahe the Baghban chiKHa Kiya

phuul kuchle ja rahe the baghban chiḳha kiya

ye zamin roti rahi vo asman chiḳha kiya

jo makan vaale the saare be-ḳhabar sote rahe

raat bhar saḌkon pe koi be-makan chiḳha kiya

jitne zinda log the sab laash ban kar rah ga.e

jab madad ke vaste ik nim-jan chiḳha kiya

jante the ham bhaTak kar hi milengi manzilen

apne hi raste chale phir rah-dan chiḳha kiya

zahiran ham donon us ki jaan ke dushman hue

vo jo rishta tere mere darmiyan chiḳha kiya

jab uTha.i jaani thi avaz zalim ke ḳhilaf

chup rahe ahl-e-zaban ik be-zaban chiḳha kiya

lamha-e-hijran guzarne baad ye aalam raha

vo kahin rota raha aur main yahan chiḳha kiya

ye hua phir baanT li yaron ne saari ka.enat

aur main tanha pas-e-sud-o-ziyan chiḳha kiya

tum ko to ‘afrang’ aana hi nahin tha lauT kar

main tumhara naam le kar ra.egan chiḳha kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shakeel-badayuni

Abhi Jazba-E-Shauq Kaamil Nahin Hai

Ek Qayamat Waqt Se Pahle Bapa Hone Ko Hai

poet

Koi Dekhe to Ye Andaz Satane Wala

Jalti Hui Ruton Ke KHaridar Kaun Hain

Abru Hai Kaba Aaj Se Ye Nam Rakh Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet