phir marhala-e-ḳhvab-e-baharan se guzar ja
mausam hai suhana to gareban se guzar ja
shishe ke makan aur nazar ke mutahammil
divana na ban shahr-e-nigaran se guzar ja
sab qatl ke asbab baham hain sar-e-maqtal
aise men pas-o-pesh na kar jaan se guzar ja
phir denge vahi mashvara-e-tark-e-mohabbat
ahbab-numa halqa-e-yaran se guzar ja
kuchh duur nahin manzil-e-maqsud-e-tamanna
ik fasla-e-qurb-e-rag-e-jan se guzar ja
ai ‘dil’ inhen idrak kahan namratiyon ka
jo kahte hain pal bhar men bayaban se guzar ja
Leave a Reply