insan-e-havas-pesha se kya ho nahin sakta
majbur hai is se ki khuda ho nahin sakta
vo uqda mire kaam men taqdir ne daala
jo nakhun-e-tadbir se va ho nahin sakta
dahshat se koi naam bhi leta nahin varna
is bazm men kya zikr mira ho nahin sakta
kyuun kar ho haris-e-sitam-e-ishq ki seri
gham rizq-e-muqaddar hai siva ho nahin sakta
dil kyuun ki khadang-e-nigah-e-yar se bach jaae
ye tiir qaza ka hai khata ho nahin sakta
tamkin se na dekhe jo kabhi aaina jhuk kar
vo murtakib-e-sharm-o-haya ho nahin sakta
matam-zada ke haath se ghabra na shab-e-vasl
aadat hai ki siine se juda ho nahin sakta
kahne pe chale dil ke abas ye bhi na jaana
gumrah kabhi rah-numa ho nahin sakta
hai chaal tiri bais-e-asudgi-e-halq
khajlat ke sabab hashr bapa ho nahin sakta
ye dard hai tera hi ki hai jaan se shirin
har dard men zalim ye maza ho nahin sakta
ai tair-e-jan shikva-e-taklif-e-qafas kyuun
kya tu qafas-e-tan se riha ho nahin sakta
ghairat hai jo mujh men to vo kahte hain sar-e-bazm
parvane se jo kaam hua ho nahin sakta
vo gham-zada bante hain miri naash pe lekin
dil-khush hai ki lab nauha-sara ho nahin sakta
ham zamzama-sanj-e-arni ban nahin sakte
tu baam pe kya jalva-numa ho nahin sakta
main is qadar achchha to nahin huun ki bahar aauun
mansur ne daava jo kiya ho nahin sakta
main us nigah-e-naz ka mahkum huun ‘salik’
vabasta-e-ahkam-e-qaza ho nahin sakta
Leave a Reply