phir is ke ba.ad ka koi na ho guzar mujh men
kabhi to ek pal ai dost yuun Thahar mujh men
jo ḳhud men jhankun to sannaTe sansanate hain
koi to kar gaya hai raat yuun basar mujh men
bhaTakta phirta huun sunsan rahguzaron par
basa hua hai kisi yaad ka nagar mujh men
ajab nahin ka.i moti bhi tere haath lagen
zara le kaam tu himmat se aur utar mujh men
main teri zaat ka saaya huun tere andar huun
miri talash sar-e-rah-guzar na kar mujh men
Leave a Reply