phir chhalakta hai jaam vahshat ka
shah-e-ḳhuban salam vahshat ka
ek chashm-e-ghazal karti hai
char-su ehtimam vahshat ka
vo giran-gosh ho hama-tan-gosh
to suna.un kalam vahshat ka
chaak hai ab tira gareban bhi
dekh le intiqam vahshat ka
mauj-e-hairat safar men rakhti hai
DhunDhta huun qayam vahshat ka
aaj to baghban ne gulshan men
ik bichhaya hai daam vahshat ka
ik taraf mauja-e-sukun hai ‘nadim’
ik janib ḳhiram vahshat ka
Leave a Reply